Showing posts with label Jon Elia. Show all posts
Showing posts with label Jon Elia. Show all posts

Saturday, March 28, 2020

Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas





Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi

Tuesday, October 25, 2016

Jo guzaari na ja saki hum se

Be-qaraari si be-qaraari hai,
Vasl hai aur firaaq taari hai,
Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzaari hai,
Nagharey kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhaari hai,
Bin tumhare kabhi nahin aayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,
Aap main kaise aaaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,
Uss se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezaari hai,
Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgaari hai,
Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjhaa teri savaari hai,
Haadson ka hisaab hai apna,
Warna har aaan sab ki baari hai,
Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..

Sunday, October 23, 2016

Zabre kar ke hansi ko bhool geya, Main to us zakhm hi ko bhool geya,

Zabre kar ke hansi ko bhool geya,
Main to us zakhm hi ko bhool geya,
Zaat-dar-zaat hamsafar reh kar,
Ajnabi ajnabi ko bhool geya,
Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat,
Main usay shaam hi ko bhool geya,
Ehd-e-vabastagi guzaar ke main,
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya,
Sab daleelen to mujh ko yaad rahin,
Behss kya thi ussi ko bhool geya main,
Kyun na ho naaz is zehaanat par,
Ek main har kisi ko bhool geya,
Sab se pur-amn waaqiya hai yeh,
Aadmi aadmi ko bhool geya,
Qehqaha maartay hi deewana,
Har gham-e-zindagi ko bhool geya,
Kya qayamat hui agar ik shakhss,
Apni khush-qismati ko bhool geya,
Sab buray mujh ko yaad rehte hain,
Jo bhalaa tha usii ko bhool geya,
Un se vaada to kar liya lekin,
Apni kam-fursati ko bhool geya,
Khawb-ha-khawb jis ko chaha tha,
Rang-ha-rang ussi ko bhool geya,
Bastiyo ab to rasta dedo,
Ab to main us gali ko bhool geya,
Us ne goya mujhi ko yaad rakha,
Main bhi goya usi ko bhool geya,
Yaani tum woh ho waqeyi ? Hadh hai,
Main to sach-much sabhi ko bhool geya,
Ab to har baat yaad rehti hai,
Ghaliban main kisi ko bhool geya,
Us ki khushiyon se jalne wala Jaun,
Apni eeza-dahi ko bhool geya..


Sunday, May 11, 2014

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava* kyon karain hum..

Kaisa dil aur uske kya gham jee,

Kaisa dil aur uske kya gham jee,
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,
Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,
Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam jee,
Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham jee,
Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,
Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,
Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam jee,
Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,
Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam jee,
Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam jee,
Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham jee,
Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham jee,
Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,
Meri tanhai mein, khawbon ke siwa kuch bi nahin,
Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,
Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin..