Showing posts with label allama iqbal. Show all posts
Showing posts with label allama iqbal. Show all posts

Tuesday, October 25, 2016

Sitaaron se agay jahan aur bhi hain

Sitaaron se agay jahan aur bhi hain,
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain,
Tahi zindagi se nahin yeh fazaayen,
Yahan sainkrron kaarwaan aur bhi hain,
Qanaaat na kar aalam-e- rang-o-buu pr,
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain,
Agar kho geya ik nasheman to kya gham,
Maqamaat aah-o-faghaan aur bhi hain,
Tu shaaheen hai parvaaz hai kaam tera,
Tere saamne aasmaan aur bhi hain,
Isi roz-o-shab main ulajh kar na reh ja,
Ke tere zamaan-o-makaan aur bhi hain,
Gaye din ke tanhaa tha main anjumann main,
Yahan ab mere raazdaan aur bhi hain..

Sunday, May 11, 2014

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai