Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Friday, June 20, 2014

Tujh Se To Koi Gila Nahi Hai

Tujh Se To Koi Gila Nahi Hai
Qismat Mai Meri, Sila Nahi Hai
Bichrey To Najane Haal Kiya Ho
Jo Shakhs Abhi Mila Nahi Hai
Jeene Ki Aarzoo Hi Kab Thi
Marne Ka Bhi Hosla Nahi Hai
Jo Zeest Ko Motabar Bana De
Aesa Koi Silsila Nahi Hai
Khushboo Ka Hisaab Ho Chuka Hai
Aur Phool Abhi Khila Nahi Hai
Sarshaari Rehbari Mai Dekha
Peeche Mere Qaafla Nahi Hai
Ik Thes Pe Dil Ka Phoot Behna
Choone Mai To Aabla Nahi Hai!


(Parveen Shakir)

Baad Muddat Usey Dekha, Logon

Baad Muddat Usey Dekha, Logon
Wo Zara Bhi Nahi Badla, Logon
Khush Na Tha Mujh Se Bichar Kar Wo Bhi
Us Ke Chehre Par Likha Tha, Logon
Us Ki Aankhen Bhi Kahe Deti Theen
Raat Bhar Wo Bhi Na Soya, Logon
Ajnabi Ban Ke Jo Guzra Hai Abhi
Tha Kisi Waqt Mai Apna, Logon
Dost To Khair Koi Kis Ka Hai
Us Ne Dushman Bhi Na Samjha Logon
Raat Wo Dard Mere Dil Mai Uthaa
Subha Tak Chain Na Aaya, Logon
Pyaas Sehraaon Ki Phir Taiz Hui
Abr Phir Toot Ke Barsa, Logon
..Parveen Shakir..

Sunday, May 25, 2014

دنیا کو تو حالات سے امید بڑی تھی

دنیا کو تو حالات سے امید بڑی تھی
 پر چاہنے والوں کو جدائی کی پڑی تھی

 کس جان گلستاں سے یہ ملنے کی گھڑی تھی
 خوشبو میں نہائی ہوئی اک شام کھڑی تھی

 میں اس سے ملی تھی کہ خود اپنے سے ملی تھی
 وہ جیسے مری ذات کی گم گشتہ کڑی تھی

 یوں دیکھنا اُس کو کہ کوئی اور نہ دیکھے
 انعام تو اچھا تھا مگر شرط کڑی تھی

پروین شاکر

Wednesday, May 21, 2014

اپنی تنہائی مرے نام پہ آباد کرے







اپنی تنہائی مرے نام پہ آباد کرے
کون ہو گا جو مجھے اس کی طرح یاد کرے
دل عجب شہر کہ جس پر بھی کھلا در اس کا
وہ مسافر اسے ہر سمت سے برباد کرے
اپنے قاتل کی ذہانت سے پریشان ہوں میں
روز اِک موت نئے طرز کی ایجاد کرے

Saturday, May 17, 2014

baad_baaN khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa

baad_baaN khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa
main samandar dekhatii huuN tum kinaaraa dekhanaa

yuuN bichhaDanaa bhii bahut aasaaN na thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo muD ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaaNd
ai shab-e-hijraaN zaraa apanaa sitaaraa dekhanaa

aa_iine kii aaNkh hii kuchh kam na thii mere liye
jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho


Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho...!!
Koi Wujood Mohabbat Ka Iste'aara Ho..!!

Mein Gehray Paani Ki Iss Ro' K Saath Behti Rahoon..!!
Jazeera Hoo Keh Muqaabil Koi Kinara Ho....!!!

Kabhi Kabhar Usey Dekh Lein, Kahein Mill Lein..!!
Yeh Kab Kaha Tha Ke Woh Khush'badan Hamara Ho..!!

Qusoor Ho Toa Hamarey Hisaab Mein Likh Jaye..!!
Mohabbaton Mein Jo Ehsaan Ho...Tumhara Ho..!!

Yeh Itni Raat Gaye Kaun Dasta'kain Dega....??
Kahein Hawa Ka Hi Uss ne Roop Dhara Ho...!!

Ufaq Toa Kia Hay Dar-e-Kehkashaan Bhi Choo Ayein..!!
Musafiron Ko Agar Chaand Ka Ishara Hoo...!!

Mein Apne Hissey K Sukh Jiske Naam Kar Daloon...!!
Koi Toa Hoo jo Mujhe Iss Tarah Ka Pyara Hoo..!!

Agar Wujood Mein Aahang Hai Toa Wasl Bh Hay...!!
Mann Chahe Nazm Ka Tukra, Woh Nasar Para Ho....!!

Saturday, May 10, 2014

Tujh se koi gilla nahin hai

Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai