Sitaaron se agay jahan aur bhi hain,
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain,
Tahi zindagi se nahin yeh fazaayen,
Yahan sainkrron kaarwaan aur bhi hain,
Qanaaat na kar aalam-e- rang-o-buu pr,
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain,
Agar kho geya ik nasheman to kya gham,
Maqamaat aah-o-faghaan aur bhi hain,
Tu shaaheen hai parvaaz hai kaam tera,
Tere saamne aasmaan aur bhi hain,
Isi roz-o-shab main ulajh kar na reh ja,
Ke tere zamaan-o-makaan aur bhi hain,
Gaye din ke tanhaa tha main anjumann main,
Yahan ab mere raazdaan aur bhi hain..