Tuesday, November 11, 2014

Khatir se ya lihaz se main man to gaya


  1. Khatir se ya lihaz se main man to gaya

jhoothi qasam se aap ka iman to gaya

Dil le ke muft kahte hain kuch kaam ka nahin
ulti shikayaten rahi ehsan to gaya

Ab shay-e-raaz-e-ishq go zillaten hui
lekin usay jata to diya, jaan to gaya

Dekha hai butkade main jo aye shekh kuch na kuch
iman ki to ye hai ke iman to gaya

Darta hoon dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye kyun na ho mehman to gaya

Go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko vo mere nam se pahchan to gaya

Hosh-o-havas-o-tab-o-tavan "Daagh" ja chuka
ab ham bhi jane vale hain saman to gaya
Daagh Dehlvi