Showing posts with label ahmed faraz. Show all posts
Showing posts with label ahmed faraz. Show all posts

Saturday, May 10, 2014

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

Un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
Haae wo waqat, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna us ne tawajo se fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dil ka
Dil lagi, dil ki lagi ban ke mita daiti hai
Rog dushman ko bhi ya rub na lagana dil ka
Wo bhi apne na huwe dil bhi gaya hathon se
Aise aane se to behtar hai na aana dil ka
Un ki mehfil main FARAZ un k tabasum ki qasam
Hum daikhte reh gaye hath se jana un ka…..

Thursday, May 8, 2014

سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے...

سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے...
سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں - احمد فراز

Thursday, June 20, 2013

اب تو اتنا بھی ہو نہیں پائے

اب تو اتنا بھی ہو نہیں پائے
رونا چاہا تو رو نہیں پائے

ہم سے تعبیرِ خواب پوچھتے ہو
زندگی بھر جو سو نہیں پائے

مدتوں غم کی پرورش کی ہے
یہ صِلے آج تو نہیں پائے

جستجو رائیگاں نہیں تھی مگر
جن کو چاہا تھا وہ نہیں پائے

کیوں گلہ ہم سے ہو کسی کو فرازؔ
ہم تو اپنے بھی ہو نہیں پائے

     Ahmed Faraz