Saturday, May 10, 2014

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

Un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
Haae wo waqat, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna us ne tawajo se fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dil ka
Dil lagi, dil ki lagi ban ke mita daiti hai
Rog dushman ko bhi ya rub na lagana dil ka
Wo bhi apne na huwe dil bhi gaya hathon se
Aise aane se to behtar hai na aana dil ka
Un ki mehfil main FARAZ un k tabasum ki qasam
Hum daikhte reh gaye hath se jana un ka…..

Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota

Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
Kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
Na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
Koi gair gair hota koi yar yar hota
Ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
Na tumhen qarar hota na hamain qarar hota
tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
Agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi

                     Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
                     Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi



                      Chahye Paighambar Dono Taraf
                      Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi

                      Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
                      Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
                     Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
                     Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi

                     Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
                     Phir Hamari Justajuu Honay Lagi

                      “Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
                    Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi

Tujh se koi gilla nahin hai

Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai

ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum

ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum
khob  roye  hain  lipat  kar  dar-o-deewar se  hum

yar  ki  aankh  main  nafrat  ne  hamain  qatl  kiya
kon  kehta  hai  kate  yar  ki  talwaar  se  hum

ranj  har  rang  k  jholi  main  bhare  hain  hum ne
 jab bhi guzre  hain  kisi  dard  k  bazaar  se  hum

ishq  main  hukm  adooli  bhi  hamain  ati   hai
talne  wale  to  nahi  hain  tere  inkaar   se  hum

Juda hony k mosam me juda hna zrori tha

Juda hony k mosam me juda hna zrori tha
Najany q kisi ka bewfa hona zruri tha

Mere dil ne jo is ko poojany ki intha kr di
To phir us bewafa ka be Khuda hna zruri tha

Kisi se koi b shikwa na koi b shakyat ha
Jo mery sath chaht mein huwa,Hona zruri tha

bht nazdek thay dil is liye ab dooriyn b hain
Dilon k dermiyan kuch fasla hna zrori tha

Usy b drd dny ka bht he shok tha "Wasi"
Hmy b drd o ghm sy ashna hona zrori tha

Hath Mein Leke Mera hath ye wada Krlo

Hath Mein Leke Mera hath ye wada Krlo
Ab Na Choro Ge Mera sath ye wada Krlo
Tum Na Badlo Ge Badalte Mosam ki Trha
Beetny wali hai Barsat ye wada krlo
Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hen
Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Krlo
Tum to waday B Bhula Dety Ho Aksar “Wasi”
Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Krlo…!

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
 Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi
Tere Bad Ye Duniya Wale Mujh Ko Pagal Kar Den Gay
Khushbo K Dais Men Mujh Ko Le Chal Apne Sath Wasi
Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kb Tak Ghum Sum Betho Gay
 Khamoshi Se Dam Ghut_Ta Hai Cherro Koi Bat Wasi
Aj To Us Ka Chehra Bhi Kuch Badla Badla Lagta Hai
 Mosam Badla, Duniya Badli, Badl Gay Haalat Wasi
Mere Ghar Khushiyon Ka Ye Raqs Usi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jay Gi Pholoon Ki Baraat Wasi
Chor Wasi Ab Us Ki Yaden Tujh Ko Pagal Kar Den Gi

Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Auqaat Wasi