Sunday, May 11, 2014

Hote hain Shayad Nafrat main Hi pakiza rishty

Hote hain Shayad Nafrat main Hi pakiza rishty

Wrna ab to Tann se Labaas utarne Ko log Mohabbat Kahte hain

us ki ankhain bhi khe deti theen

us ki ankhain bhi khe deti theen

raat bhar woh bhi na soya, logo



Tum masroof hogye akhir..........,

Tum masroof hogye akhir..........,

Main tu samjhe the tm hmare ho.

Samndar me Fanaa hona to kismat ki kahani hai FARAZ!

Samndar me Fanaa hona to kismat ki kahani hai FARAZ!
Jo Marta hen Kinaroon par Mujhe Dukh un pe Hota hay

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nah

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava* kyon karain hum..