Hazaro khwaishe aissi, ki har khwaish pe dum nikle
Bahot nikle mere armaan lekin phir bhi kum nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hei leikin
Bahut be-aabru ho kar tere kucche se hum nikle
Mohabbat mei nahi hei fark jeene aur marne ka
Ussi ko dekh kar jeete hei jiss kaafir par dum nikle
Khuda ke waaste parda na kaabe se utha zaalim
Kanhi aissa na ho yanha bhi vahi kaafir sanam nikle
Kanha maykhane ka darwaza 'Ghalib' aur kanha wayiz
Par itna jaante hei ki kal vo jaata tha ki hum nikle
By Mirza Ghalib