Saturday, May 17, 2014

woh baat baat mein itna badalta jaata hai

woh baat baat mein itna badalta jaata hai
keh jis tarhaan koi wadda badalta jaata hai

Yeh arzoo thi keh hum us kay sath sath challain
magar woh shakhas tu rasta badalta jata hai

jo taiz dhoop mein sar par raha wohi anchal
hawa chali hai tu kitna badalta jata hai

ruttein visaal ki aab khawb honay wali hein
keh us ki baat ka lehja badalta jaata hai

woh baat kar jisay duniya bhi moatbar samjhay
tujhay khabar hai zamana badalta jaata hai

yeh arzoo thi keh hum uss kay sath sath chalain
magar woh shakhas tu raasta badalta jata hai

**********Noshi Gilani********