Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata,
Woh shakhss koi faisla kar bhi nahin jata,
Ankhen hain ke khaali nahin rehti hain lahuu se,
Aur zakham-e-judai hai ke bhar bhi nahin jata,
Woh rahat-e-jaan hain magar is darbadri main,
Aesa hai ke ab dheyaan udhar bhi nahin jata,
Hum dohri aziyat ke giraftaar musaafir,
Paaon bhi hain shall shauq-e-safar bhi nahin jata,
Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai,
Aur tujh se bicharr jaane ka ddar bhi nahin jata,
Pagal huye jaate ho ‘faraz’ us se mile kya,
Itni si khushi se koi mar bhi nahin jata.