Sunday, October 23, 2016

Us ne sukuut-e-shab main bhi apna payaam rakh diya

Us ne sukuut-e-shab main bhi apna payaam rakh diya,
Hijr ki raat baam pr mah-e-tamaam rakh diya,
Aamad-e-dost ki naveed ku-e-wafaa main aam thi,
Main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya,
Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-mai-kashi rahi,
Us ne jo phair li nazar main bhi jaam rakh diya,
Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe,
Main ne to us ke paaon main sara kalaam rakh diya,
Dekho yeh mere khawab they dekho yeh mere zakham hain,
Main ne to sab hisaab-e-jan bar-sar-e-aam rakh diya,
Ab ke bahaar ne bhi keen aesi sharaarten ke bas,
Kabk-e-dari ki chaal main tera khiraaam rakh diya,
Jo bhi mila usi ka dil halqa ba-gosh-e-yaar tha,
Us ne to saare sheher ko kar ke ghulaam rakh diya,
Aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe,
Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..