Ishq ko be-naqaaab hona tha,
Aap apna jawaab hona tha,
Masst-e-jaaam-e-sharaaab hona tha,
Be-khudd-e-izztiraab hona tha,
Teri ankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharaab hona tha,
Aao mil jaao muskura ke gale,
Ho chuka jo itaab hona tha,
Kuchaaa-e-ishq main nikal aaya,
Ji ka khaana-kharab hona tha,
Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
Aaakhrish kaamyaab hona tha,
Haaye woh lamhaaa-e-sukooon ke jisse,
Mehshhar-e-iztiraab hona tha,
Nigaaah-e-yaaar khud tarrap uthi,
Shartt-e-awwall kharaab hona tha,
Kyun na hota sitam bhi be-payan,
Karamm-e-behisaab hona tha,
Kyun nazar hairaton main doob gayi,
Maujj-e-sadd-iztiraab honaa tha,
Ho chukaa rozz-e-avvaleen hi ‘jigar’,
Jis ka jitna kharaab hona tha..