Saturday, May 17, 2014

woh baat baat mein itna badalta jaata hai

woh baat baat mein itna badalta jaata hai
keh jis tarhaan koi wadda badalta jaata hai

Yeh arzoo thi keh hum us kay sath sath challain
magar woh shakhas tu rasta badalta jata hai

jo taiz dhoop mein sar par raha wohi anchal
hawa chali hai tu kitna badalta jata hai

ruttein visaal ki aab khawb honay wali hein
keh us ki baat ka lehja badalta jaata hai

woh baat kar jisay duniya bhi moatbar samjhay
tujhay khabar hai zamana badalta jaata hai

yeh arzoo thi keh hum uss kay sath sath chalain
magar woh shakhas tu raasta badalta jata hai

**********Noshi Gilani********

Bila vajah rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Bila vajah rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun

Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun

Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun

Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun


...........Noshi Gilani..................

Muujhko ruswa sar e baazar na karwaya karay



Muujhko ruswa sar e baazar na karwaya karay
kash aansoo meri aankho'n mai hi reh jaya karay

ai hawa mainay to bas uska pata puchha tha
ab kahani to na harr baat ki ban jaya karay

bas bohot daikh liye khwaab suhanay din k
ab wo bato'n ki rifaqat se na behlaya karay

ikk museebat to nahi tooti so ab iss dil se
jiss musibat ne guzarna hai guzar jaya karay

jiss k khaabo'n ko mai aankho'n mai saja kar rakkhoo'n
usski khushboo kabhi mujhko bhi to mehkaya karay

Friday, May 16, 2014

Thursday, May 15, 2014

teri sorat ko jab sey dekha ha



teri sorat ko jab sey dekha ha
meri aankhon pe log martey hain

Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo,

Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo,
Jis sey kertay ho usi say chupani parti hay..

Tuesday, May 13, 2014

Dil dhoondta hai, fir wahi fursat ke raat din

Dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat Ke raat din
Dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat Ke raat din
Dil dhoondta hai, fir wahi fursat ke raat din
baithe rahe tasawwoor-ye-jaana kiye huye

Dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat Ke raat din

Muskurane ki aadat bhi kitni mehangi

Muskurane ki aadat bhi kitni mehangi pari hum ko faraz
chhor gaye wo ye soch kar ke hum judai main bhi khush hain
 

hum ko acha nhi lagta koi


hum ko acha nhi lagta koi hum naam tera Faraz
koi tujh sa ho phr naam bhi tujh sa rakhe