Sunday, May 18, 2014

zindagi se yahi gila ha mujhe


زندگی سے یہی گلہ ہے مجھے
تو بہت دیر سے ملا ہے مجھے
تو محبت سے کوئی چال تو چل
ہار جانے کا حوصلہ ہے مجھے
دل دھڑکتا نہیں ٹپکتا ہے
کل جو خواہش تھی آبلہ ہے مجھے
ہم سفر چاہیے ہجوم نہیں
اِک مسافر بھی قافلہ ہے مجھے
کوہ کن ہو کہ قیس ہو کہ فراز
سب میں اِک شخص ہی ملا ہے مجھ      
   Ahmed Faraz

yeh jaan kar b k dono k raste the alag ajeb haal tha jab us ho rehe the alag

yeh jaan kar dono k raste the alag
ajeb haal tha jab us ho rehe the alag

woh dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha




Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha

main tujh se kaise kahun yaare meherbaan mere


Main tujhse kaise kahun yaare meherbaan mere
k tum hi elaaj nhai meri har udaasi ka

Saturday, May 17, 2014

ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N



ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N
us se aa.Nkhe.n lagii.n to Khvaab kahaa.N

bekalii dil hii kii tamaashaa hai
barq me.n aise izteraab kahaa.N

hastii apanii hai biichh me.n pardaa
ham na hove.n to phir hijaab kahaa.N

giriyaa-e-shab se surKh hai.n aa.Nkhe.n
mujh balaa nosh ko sharaab kahaa.N

ishq hai aashiqo.n ko jalane ko
ye jahannum me.n hai azaab kahaa.N

mahv hai.n is kitaabii chehare ke
aashiqo.n ko sar-e-kitaab kahaa.N

ishq kaa ghar hai 'Meer' se aabaad
aise phir Khaanaamaa.N_Kharaab kahaa.N


By Meer Taqi Meer

Aaj hume betaabi si hei, sabr ki dil se rukhsat thi



Aaj hume betaabi si hei, sabr ki dil se rukhsat thi
Charo aur nigaah karne mei, 'Aalam' Aalam hasrat thi


Badnami kya ishq ki kahiye, rusvayi si rusvayi hei
Sehra sehra vehsat bhi thi, duniya duniya tohmat thi


Raah ki koi sunta na tha ya, raste mei manid-e-jaras
Shor sa karte jaate the hum, baat ki kisko taakat thi


Jee uthta hei ya se bagula, hum sa hei aawarah koi
Ish waadi mei meer, sargastah kisu ki turbat thi


- By Meer Taqi Meer

Hazaro khwaishe aissi, ki har khwaish pe dum nikle



Hazaro khwaishe aissi, ki har khwaish pe dum nikle

Bahot nikle mere armaan lekin phir bhi kum nikle


Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hei leikin

Bahut be-aabru ho kar tere kucche se hum nikle


Mohabbat mei nahi hei fark jeene aur marne ka

Ussi ko dekh kar jeete hei jiss kaafir par dum nikle


Khuda ke waaste parda na kaabe se utha zaalim

Kanhi aissa na ho yanha bhi vahi kaafir sanam nikle


Kanha maykhane ka darwaza 'Ghalib' aur kanha wayiz

Par itna jaante hei ki kal vo jaata tha ki hum nikle


By Mirza Ghalib

nasiib aazamaane ke din aa rahe hai.n

nasiib aazamaane ke din aa rahe hai.n

qariib un ke aane ke din aa rahe hai.n


jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hai

sab un ko sunaane ke din aa rahe hai.n


abhii se dil-o-jaa.N sar-e-raah rakh do

ke luTane luTaane ke din aa rahe hai.n


Tapakane lagii un nigaaho.n se mastii

nigaahe.n churaane ke din aa rahe hai.n


sabaa phir hame.n puuchhatii phir rahii hai

chaman ko sajaane ke din aa rahe hai.n


chalo "Faiz" phir se kahii.n dil lagaaye.N

sunaa hai Thikaane ke din aa rahe hai.n


By Faiz Ahmed Faiz

ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo

ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aa.Nkhe.n sach bolatii hai.n pyaar chupaayaa na karo

log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo

baad_baaN khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa

baad_baaN khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa
main samandar dekhatii huuN tum kinaaraa dekhanaa

yuuN bichhaDanaa bhii bahut aasaaN na thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo muD ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaaNd
ai shab-e-hijraaN zaraa apanaa sitaaraa dekhanaa

aa_iine kii aaNkh hii kuchh kam na thii mere liye
jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho


Gulaab Haath Main Ho, Aankh Mein Sitara Ho...!!
Koi Wujood Mohabbat Ka Iste'aara Ho..!!

Mein Gehray Paani Ki Iss Ro' K Saath Behti Rahoon..!!
Jazeera Hoo Keh Muqaabil Koi Kinara Ho....!!!

Kabhi Kabhar Usey Dekh Lein, Kahein Mill Lein..!!
Yeh Kab Kaha Tha Ke Woh Khush'badan Hamara Ho..!!

Qusoor Ho Toa Hamarey Hisaab Mein Likh Jaye..!!
Mohabbaton Mein Jo Ehsaan Ho...Tumhara Ho..!!

Yeh Itni Raat Gaye Kaun Dasta'kain Dega....??
Kahein Hawa Ka Hi Uss ne Roop Dhara Ho...!!

Ufaq Toa Kia Hay Dar-e-Kehkashaan Bhi Choo Ayein..!!
Musafiron Ko Agar Chaand Ka Ishara Hoo...!!

Mein Apne Hissey K Sukh Jiske Naam Kar Daloon...!!
Koi Toa Hoo jo Mujhe Iss Tarah Ka Pyara Hoo..!!

Agar Wujood Mein Aahang Hai Toa Wasl Bh Hay...!!
Mann Chahe Nazm Ka Tukra, Woh Nasar Para Ho....!!