Thursday, April 19, 2018

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai....

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai,
Talaash main hai sehar baar baar guzri hai,
Junoon main jitni bhi guzri bekaar guzri hai,
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai,
Woh baat saarey fasaane mein jis ka zikr na tha,
Woh baat un ko bohat naagvaar guzri hai,
Na gul khile hain, na un se mile, na mai pee hai,
Ajeeb rang main ab ke bahaar guzri hai,
Chaman pe ghaarat-e-gulcheen se jaane kya guzri,
Qaffass se aaj sabaa beqaraar guzri hai..

Roz woh khawb main aate hain galle milne ko

Roz woh khawb main aate hain galle milne ko,
Main jo sota hoon to jaag uthti hai kismat meri.

‎سلیقہ تم نے پردے کا________ بڑا انمول رکھا ہے ‎یہی نگاہیں قاتل ھیں۔

سلیقہ تم نے پردے کا________ بڑا انمول رکھا ہے

یہی نگاہیں قاتل ھیں۔۔۔۔ اور انہیں ہی کھول رکھا ہے. . . . .


()

Wednesday, April 18, 2018

Tum mere baad mohabbat ko taras jaaoge

Tum mere baad mohabbat ko taras jaaoge - 
Ajnabi shehar hai chaahat ko taras jaaoge

Saturday, November 5, 2016

Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri

Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri
Ese Khabar He Na Thi, Khakh Kimiya Thi Meri

Main Chup Howa To Woh Samjha Ke Baat Khatm Hoi
Pher Es Ke Baad To Awaz Ja-Baja Thi Meri

Jo Tana Zan Tha Meri Poshesh-E Dureda Per
Esi Ke Dosh Pe Rakhi Hoi Qaba Thi Meri

Main Es Ko Yad Karon Bhi To Yad Aata Nahi
Main Es Ko Bhol Gaya Hon, Yahi Saza Thi Meri

Shikast Dey Gaya Apna Gharor He Es Ko
Wagarna Es Ke Muqabil Bisaat Kyat Hi Meri

Kahein Dimagh, Kahein Dil, Kahein Badan He Badan
Her Aik Se Dosti Yari Juda Juda Thi Meri

Koi Bhi Koey Mohabbat Se Pher Nahi Guzra
To Shehar-E-Ishq Mein Kya Aakhri Sada Thi Meri?

Jo Ab Ghamand Se Sir Ko Uthaey Pherta Hai
Esi Tarha Ki To Makhloq Khak-E-Paa Thi Meri

Her Aik Sher Na Tha Dar Khor-E Qaseda Dost
Aur Es Sat Taba-E Rawan Khob Aashna Thi Meri

Main Es Ko Dekhta Rehta Tha Heraton Se Faraz
Ye Zindagi Se Taruf Ki Ibteda Thi Meri

اس کو جدا ہوئے بھی زمانہ بہت ہوا



Khaawbon ka gila jaayez hai mohsin lekin

Khaawbon ka gila jaayez hai mohsin lekin,
Main neendain dhoond ke laaon kahan se..

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey,
Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey,
Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi,
Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey,
Na ehad tark-e-ta’aluq na na qurbatien paheem,
Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey,
Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj,
Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey,
Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop,
Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey,
Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir,
dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.
Aitbar Sajid

Ishq ko be-naqaaab hona tha

Ishq ko be-naqaaab hona tha,
Aap apna jawaab hona tha,
Masst-e-jaaam-e-sharaaab hona tha,
 Be-khudd-e-izztiraab hona tha,
Teri ankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharaab hona tha,
 Aao mil jaao muskura ke gale,
Ho chuka jo itaab hona tha,
Kuchaaa-e-ishq main nikal aaya,
 Ji ka khaana-kharab hona tha,
Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
Aaakhrish kaamyaab hona tha,
Haaye woh lamhaaa-e-sukooon ke jisse,
Mehshhar-e-iztiraab hona tha,
 Nigaaah-e-yaaar khud tarrap uthi,
 Shartt-e-awwall kharaab hona tha,
Kyun na hota sitam bhi be-payan,
Karamm-e-behisaab hona tha,
 Kyun nazar hairaton main doob gayi,
Maujj-e-sadd-iztiraab honaa tha,
Ho chukaa rozz-e-avvaleen hi ‘jigar’,
 Jis ka jitna kharaab hona tha..

Thursday, November 3, 2016

Wohi phir mujhe yaad anay lage hain

Wohi phir mujhe yaad anay lage hain, Jinhe bhoolne main zamane lage hain, Woh hain paas aur yaad anay lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaane lage hain, Suna hai hamen woh bhulaane lage hain, To kya hum unhe yaad anay lage hain, Hattaaye they jo raah se doston ki, Woh pathar mere ghar main anay lage hain, Yeh kehna tha un se mohabbat hai mujh ko, Yeh kehne main mujh ko zamaane lage hain, Hawaayen chalin aur na maujen utheen, Ab aese bhi tufaan anay lage hain, Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai, Khumar ab to masjid main jaane lage hain..

Wednesday, November 2, 2016