- Khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhoothi qasam se aap ka iman to gaya
Dil le ke muft kahte hain kuch kaam ka nahin
ulti shikayaten rahi ehsan to gaya
Ab shay-e-raaz-e-ishq go zillaten hui
lekin usay jata to diya, jaan to gaya
Dekha hai butkade main jo aye shekh kuch na kuch
iman ki to ye hai ke iman to gaya
Darta hoon dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye kyun na ho mehman to gaya
Go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko vo mere nam se pahchan to gaya
Hosh-o-havas-o-tab-o-tavan "Daagh" ja chuka
ab ham bhi jane vale hain saman to gaya
Daagh Dehlvi